Links count tool Easy Hairfall Solution in Urdu Hindi - RAMADAN & EID WISHES

Video of The Day

Easy Hairfall Solution in Urdu Hindi

Aslamualaikum, Umeed Karta hu aap sab theek thak hon gay. Ap me se kafi logo ne kayi baar baal girnay ki shikhayt ki thi lakin boht busy honey ki wajah se mein baalon ki girnay ka koi solution nahi share kar saka lakin ajj pehli baar main Baal Mazboot, Lambay Aur Ghanay Karnay Kay Tariqay Share Karne Jaa Rha Hoon.

Hair Loss Tips in Urdu & Hindi

Previously Shared: Prisma is An Illuminati App? The Dark Truth is Revealed

Her aik larki ko apne baalon ki hamesha fiqar rehti hai kay us kay baal hamesha Ghanay, Chamakdar aur Khubsurat dikhayi dain lakin badqismti se boht see larkian aur khawateen baal girnay kay maslay ka shikar hoti hain aur unko samjh nahi aa rhi hoti kay wo baalon ko girnay se kaise rokain. To ajj is article mein main ap logo se  Baal Mazboot, Lambay Aur Ghanay Karne Ki Tips in Urdu / Hindi mein share krne lga hoon.

Beauty Tips for Mazboot, Lambay aur Ghany Baal:
Tail ka istemal:
Tail balon ke lye buhat lazimi hai. Hafty main ak do bar tail lagana buhat mufeed hai aghar apko tail nahi pasand tau ap rat ko siy laga ke so jae aur subha uth ke balon ko dho lyn.
Tail ki Iqsam:
Ap apny balon ke lye zetoon aur narial main se koe ak muntakhib kar sakti hain. Aam tor pe zetoon khushk balon, narial aur sarson ka tail chikny balon ke lye mufeed samjha jata hai.
Balon ka massage:
Balon main tail laga ke ungleo ke sero se balo ka massage kary. Massage halky hatho se kary. Kanpateo pe sar ke darmiani hisy aur peeshy ki janib marhalawar massage kary. Kanpateo ke oper ki janib se bal ugny ka amal shoro hota hai is lye yahan ka massage buhat zaroori hai.
Balon ko tail lagany ka dorania:
Kuch khawateen balo main zaroorat se zeyada tail laga leti hain. Jo in ke kapro aur takeo ko lag jata hai. Kabhi bhe itna tail na lagae keu ke ap ke sar ki jild ak khas had tak he tail jazab kar sakti hai. Tail lagany ka dorania zeyada se zeyada 2 ghanto se le ke rat bhar tak ho sakta hai is se zeyada dair ke lye tail kabhi na lagae. Keun ke zeyada dair tail lagany se oxygen balo ki jild tak nahi pohanchti jis ki wajah se bal toty aur gerty hain. Beshak ap rozana tail lagae lakin sirf do ghanty ya pher rat bher lagae aur subha dho lyn.
Kangi karna:
Balo main gangi karna buhat acha hota hai. Is se sar ka durane khun taiz ho jata hai. Din main teen ya chaar bar gangi zaroor kary. Lakri ki gangi ka istemal zeyada acha hota hai. Toty danu wali gangi kabhi istemal na kary aur gely balo main gangi her ge zna kary keun ke is se bal zeyada totoy aur kamzoor hoty hain.
Sar ki khushki dor karny ke lye totka:
Dahi main thora sa sarsu ka tail mila ke sar dhony se adha ghenta pahly laga lyn aur adhy ghanty bad sar dho lyn yeh amal hafty main ak bar zaroor kary.
Balo ko ghana banany ke lye tarika:
Taza narial se nikalny wala kacha pani ehteyat se kisi botal main mahfooz kar lyn. Aur rozana subha uthny ke bad ahista ahista lagae. Bal chand dinu main girna band ho jae gay aur mazboot aur sehat mand ho jae gay.
Bal lamby aur naram karny ke lye:
Ak andy ki zardi main do chamach mila lyn aur khub phenty is ke baad balo ki jaro main ungleo ki phuru se achi tarah lagae. Yeh amal sar dhony se pahly teen ghanty pahly kagae.
Bal girne kam karne k liye nuskha:
Sar ki khopri per lehsan, peyaz ya sirke ka rass malaen. Iss baat ka kheyal rakhen k inn main se koi 1 cheez istemal karen, 2 ko mix na karen.  Raat bhar sarr par lagaen aur subah uth ka achi tarah dho lain.
Aloe Vera ka istemal balon k liye tarika:
Aloe vera (kawar gandal) na sirf jild yani skin k liye nahayat mofeed hai, iske balo k liye bhi bohat se faiday hain. Ye na sirf balon ko ghanay, lambay, mazboot aur shiny karne main madad deta hai balke balon ki amoomi sehet aur sar ki khushki kam karne  k liye bhi bohat acha hai.
Exercise aur relaxation baalon k liye totka:
Stress yani zehni pareshani balon k liye nuqsan de hai. Halki exercise , taza hawa main walk aur lambay sans lena aur pur-skooon neend stress ko kam karte hain aur balon k liye mofeed hain.
Baalon k liye ghezaa:
Balo ki hifazat behad zaroori hai. Jis tarah insane jism ko sehad mand aur khashash aur bashash rahny ke lye achi ghaza ki zaroorat hoti hai bilkul isi tar balo ko bhi achi gheza aur khayal ki zaroorat hoti hai. Dhoodh, dehi, chicken, daal, anday, machli, palak, gobhi waghaira blong k liye mofeed ghazaen hain.  Neez gajar, chakandar, grape furit ka juice bhi balon ko mazboot, lamba aur ghana karta hai.
Issi tarah rangoli henna bhi girte balon k liye aik azmood haircare tip hai. Neez sab chaye bhi girte balon yani falling hair ke liye mofeed hai. 2 sab chay ke bag pani main ubalain. Jab pani thanda ho jay tu sar par lagaen aur 1 ghante baad sar achi tarah dho lain.

education

About education

Author Description here.. Nulla sagittis convallis. Curabitur consequat. Quisque metus enim, venenatis fermentum, mollis in, porta et, nibh. Duis vulputate elit in elit. Mauris dictum libero id justo.

Subscribe to this Blog via Email :